rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain
rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain
Hafeez Fatima Barelvi
MORE BYHafeez Fatima Barelvi
rah-e-irfāñ meñ apne hosh ko maa.il samajhte haiñ
huī jab be-ḳhudī taarī use manzil samajhte haiñ
vufūq-e-shauq ko hai tañg aqsā-e-do-ālam bhī
fazā-e-lā-makāñ parvāz ke qābil samajhte haiñ
baqā zāhir meñ zarrāt-e-adam kā ik hayūlā hai
haqīqat meñ fanā ko ziist kā hāsil samajhte
zamāne kā asar hotā nahīñ hai haal par apne
ki yaksāñ hālat-e-māzī-o-mustaqbil samajhte haiñ
rah-e-irfan mein apne hosh ko mail samajhte hain
hui jab be-KHudi tari use manzil samajhte hain
wufuq-e-shauq ko hai tang aqsa-e-do-alam bhi
faza-e-la-makan parwaz ke qabil samajhte hain
baqa zahir mein zarraat-e-adam ka ek hayula hai
haqiqat mein fana ko zist ka hasil samajhte
zamane ka asar hota nahin hai haal par apne
ki yaksan haalat-e-mazi-o-mustaqbil samajhte hain
- Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 124)
- Author : Khan Mohammad Atif
- Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
- Edition : 1983
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.