rah-e-junun mein KHuda ka hawala kya karta
rah-e-junūñ meñ ḳhudā kā havāla kyā kartā
ye ḳhizr ranj-e-safar kā izāla kyā kartā
guzārnī thī tire hijr kī pahāḌ sī raat
maiñ tār-e-resham-o-zar kā do-shāla kyā kartā
na shaġhl-e-ḳhārā-tarāshī na kārobār-e-junūñ
maiñ koh-o-dasht meñ faryād-o-nāla kyā kartā
hikāyat-e-ġham-e-duniyā ko chāhiye daftar
varaq varaq mire dil kā risāla kyā kartā
maiñ tishna kaam tire mai-kade se lauT aayā
kisī ke naam kā le kar pyāla kyā kartā
rah-e-junun mein KHuda ka hawala kya karta
ye KHizr ranj-e-safar ka izala kya karta
guzarni thi tere hijr ki pahaD si raat
main tar-e-resham-o-zar ka do-shaala kya karta
na shaghl-e-KHara-tarashi na karobar-e-junun
main koh-o-dasht mein faryaad-o-nala kya karta
hikayat-e-gham-e-duniya ko chahiye daftar
waraq waraq mere dil ka risala kya karta
main tishna kaam tere mai-kade se lauT aaya
kisi ke nam ka le kar pyala kya karta
- Book : auraq salnama magazines (Pg. 493)
- Author : Wazir Agha,Arif Abdul Mateen
- Publication : Daftar Mahnama Auraq Lahore ( 1967 )
- Edition : 1967
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.