rah-e-kahkashan se guzar gaya hama-in-o-an se guzar gaya
rah-e-kahkashāñ se guzar gayā hama-īn-o-āñ se guzar gayā
koī bazm-e-nāz-o-niyāz meñ maiñ had-o-kamāñ se guzar gayā
na koī jahāñ se guzar sake ye vahāñ vahāñ se guzar gayā
tire 'ishq meñ dil-e-mubtalā har ik imtihāñ se guzar gayā
tire ishq-e-sīna-figār kā ye shu'ūr qābil-e-dād hai
vahī tiir dil se lagā liyā jo tirī kamāñ se guzar gayā
tire husn-e-sajda-navāz kā ye karam jabīn-e-niyāz par
ki mile haram hī haram mujhe maiñ jahāñ jahāñ se guzar gayā
mire nāsehā tirā shukriya mire haal par mujhe chhoḌ de
jo tirī zamīñ pe muhīt hai maiñ us āsmāñ se guzar gayā
ye nizām bazm-e-hayāt kā abhī ḳhalfashār kī nazr thā
vo to shukr hai ki fasāna-ḳhvāñ mirī dāstāñ se guzar gayā
rahe qaid-o-band kī lazzateñ ki aziyyateñ bhī haiñ rāhateñ
maiñ qafas meñ aate hī sarhad-e-ġham-e-āshiyāñ se guzar gayā
na 'vaqār' dair se vāsta na haram se mujh ko koī ġharaz
kisī be-nishāñ kī talāsh meñ maiñ har ik nishāñ se guzar gayā
rah-e-kahkashan se guzar gaya hama-in-o-an se guzar gaya
koi bazm-e-naz-o-niyaz mein main had-o-kaman se guzar gaya
na koi jahan se guzar sake ye wahan wahan se guzar gaya
tere 'ishq mein dil-e-mubtala har ek imtihan se guzar gaya
tere ishq-e-sina-figar ka ye shu'ur qabil-e-dad hai
wahi tir dil se laga liya jo teri kaman se guzar gaya
tere husn-e-sajda-nawaz ka ye karam jabin-e-niyaz par
ki mile haram hi haram mujhe main jahan jahan se guzar gaya
mere naseha tera shukriya mere haal par mujhe chhoD de
jo teri zamin pe muhit hai main us aasman se guzar gaya
ye nizam bazm-e-hayat ka abhi KHalfashaar ki nazr tha
wo to shukr hai ki fasana-KHwan meri dastan se guzar gaya
rahe qaid-o-band ki lazzaten ki aziyyaten bhi hain rahaten
main qafas mein aate hi sarhad-e-gham-e-ashiyan se guzar gaya
na 'waqar' dair se wasta na haram se mujh ko koi gharaz
kisi be-nishan ki talash mein main har ek nishan se guzar gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.