rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe
rah-e-ḳhizāñ meñ talāsh-e-bahār karte rahe
vo ek tarfa sahī tum se pyaar karte rahe
hai kyā tamāshā udhar ranjisheñ hī baḌhtī rahīñ
ta.alluqāt hamīñ ustuvār karte rahe
guzar ga.ī jo ghaḌī lauT kar na aa.ī kabhī
talāsh-e-shām-o-sahar baar baar karte rahe
tumhārī chaah meñ jitne bhī zaḳhm ham ko mile
mohabbatoñ meñ ham un kā shumār karte rahe
tirī anā pe hameñ iḳhtiyār hī kab thā
tamām umr tirā intizār karte rahe
'adīl' log gharoñ ko sajā.e baiThe haiñ
faroġh-e-husn faqat barg-o-bār karte rahe
rah-e-KHizan mein talash-e-bahaar karte rahe
wo ek tarfa sahi tum se pyar karte rahe
hai kya tamasha udhar ranjishen hi baDhti rahin
talluqat hamin ustuwar karte rahe
guzar gai jo ghaDi lauT kar na aai kabhi
talash-e-sham-o-sahar bar bar karte rahe
tumhaari chah mein jitne bhi zaKHm hum ko mile
mohabbaton mein hum un ka shumar karte rahe
teri ana pe hamein iKHtiyar hi kab tha
tamam umr tera intizar karte rahe
'adil' log gharon ko sajae baiThe hain
farogh-e-husn faqat barg-o-bar karte rahe
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 113)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.