rah-e-talab mein na kar is tarah KHarab mujhe
rah-e-talab meñ na kar is tarah ḳharāb mujhe
Thaharne de kahīñ ai chashm-e-intiḳhāb mujhe
bulā rahā hai kahīñ ishq sū-e-dār-o-rasan
pukārtā hai kahīñ husn-e-be-naqāb mujhe
maiñ ek zarra-e-nāchīz hī sahī lekin
nigāh vaale samajhte haiñ āftāb mujhe
bas ek jurm-e-mohabbat pe us sitamgar ne
diye haiñ shām-o-sahar saikḌoñ azaab mujhe
luTī luTī sī shab-e-ġham hai chāñdnī 'nayyar'
bujhā bujhā nazar aatā hai māhtāb mujhe
rah-e-talab mein na kar is tarah KHarab mujhe
Thaharne de kahin ai chashm-e-intiKHab mujhe
bula raha hai kahin ishq su-e-dar-o-rasan
pukarta hai kahin husn-e-be-naqab mujhe
main ek zarra-e-nachiz hi sahi lekin
nigah wale samajhte hain aaftab mujhe
bas ek jurm-e-mohabbat pe us sitamgar ne
diye hain sham-o-sahar saikDon azab mujhe
luTi luTi si shab-e-gham hai chandni 'nayyar'
bujha bujha nazar aata hai mahtab mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.