rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya
Interesting Fact
(Annual Tarahi Mushaira, Bazm-e-Zamin Kantoorii, 1947)
rah-e-ulfat meñ jab tark-e-tavassut kā maqām aayā
na duniyā mere kaam aa.ī na maiñ duniyā ke kaam aayā
asīrī kī fazā kis darja hasrat-ḳhez hotī hai
nasheman kā tasavvur bhī jo aayā nā-tamām aayā
hamārī zaat se hai kitnī dilchaspī zamāne ko
hamesha zer-e-ġhaur aayā to bas apnā hī naam aayā
vafā kī raah meñ āsāniyoñ kā zikr hī kyā hai
yahāñ jo bhī maqām aayā baḌā mushkil maqām aayā
nasha kaisā nahīñ ehsās tak kuchh talḳhī-e-mai kā
kaheñ kis se ki kyā guzrī jahāñ gardish meñ jaam aayā
visāl-e-dost kī manzil nahīñ ma.alūm kab aa.e
maqām-e-hosh se guzre to hairat kā maqām aayā
zamāne par ayaañ hone ko thā rāz-e-alam merā
tirā anjān ho jaanā bhī kis mauqe pe kaam aayā
na jaane vaqt kī tabdīliyāñ kyā kyā dikhātī haiñ
chaman vāloñ ke hāthoñ ab chaman kā intizām aayā
vufūr-e-shauq meñ insān ḳhud ko bhuul jaatā hai
tum aa.e sāmne to jab samajh meñ ye maqām aayā
usūl-e-mai-kadā aise banā rakkhe haiñ saaqī ne
jo niklā be-ḳhabar niklā jo aayā tishna-kām aayā
shikāyat kī bhī gunjā.ish kahāñ hai 'shauq' phūloñ ko
ḳhizān-e-zindagī ban kar bahāroñ kā payām aayā
rah-e-ulfat mein jab tark-e-tawassut ka maqam aaya
na duniya mere kaam aai na main duniya ke kaam aaya
asiri ki faza kis darja hasrat-KHez hoti hai
nasheman ka tasawwur bhi jo aaya na-tamam aaya
hamari zat se hai kitni dilchaspi zamane ko
hamesha zer-e-ghaur aaya to bas apna hi nam aaya
wafa ki rah mein aasaniyon ka zikr hi kya hai
yahan jo bhi maqam aaya baDa mushkil maqam aaya
nasha kaisa nahin ehsas tak kuchh talKHi-e-mai ka
kahen kis se ki kya guzri jahan gardish mein jam aaya
visal-e-dost ki manzil nahin malum kab aae
maqam-e-hosh se guzre to hairat ka maqam aaya
zamane par ayan hone ko tha raaz-e-alam mera
tera anjaan ho jaana bhi kis mauqe pe kaam aaya
na jaane waqt ki tabdiliyan kya kya dikhati hain
chaman walon ke hathon ab chaman ka intizam aaya
wufur-e-shauq mein insan KHud ko bhul jata hai
tum aae samne to jab samajh mein ye maqam aaya
usul-e-mai-kada aise bana rakkhe hain saqi ne
jo nikla be-KHabar nikla jo aaya tishna-kaam aaya
shikayat ki bhi gunjaish kahan hai 'shauq' phulon ko
KHizan-e-zindagi ban kar bahaaron ka payam aaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.