rah-e-wafa mein hamein jitne ham-KHayal mile
rah-e-vafā meñ hameñ jitne ham-ḳhayāl mile
un hī kī āñkhoñ meñ ham ko ka.ī savāl mile
vo log jin kī hameñ fikr rahtī hai har dam
vo jab kabhī bhī mile ham se hasb-e-hāl mile
kisī gharāne kisī zaat se nahīñ matlab
ye ham bhī jānte haiñ dil mile ḳhayāl mile
maiñ kis tarah se pareshān-hāl unheñ samjhūñ
vo apne husn-e-amal se to mālā-māl mile
bahut se log mile ham ko apnī duniyā meñ
koī na samjhā bahut yuuñ to ham-ḳhayāl mile
'kiran' vo pichhle dinoñ kī to baat aur hī thī
agarche milne ko yuuñ kitne māh-o-sāl mile
rah-e-wafa mein hamein jitne ham-KHayal mile
un hi ki aankhon mein hum ko kai sawal mile
wo log jin ki hamein fikr rahti hai har dam
wo jab kabhi bhi mile hum se hasb-e-haal mile
kisi gharane kisi zat se nahin matlab
ye hum bhi jaante hain dil mile KHayal mile
main kis tarah se pareshan-haal unhen samjhun
wo apne husn-e-amal se to mala-mal mile
bahut se log mile hum ko apni duniya mein
koi na samjha bahut yun to ham-KHayal mile
'kiran' wo pichhle dinon ki to baat aur hi thi
agarche milne ko yun kitne mah-o-sal mile
- Book : Saugaat (Pg. 52)
- Author : Kavita Kiran
- Publication : Shiyam Kumar (1992)
- Edition : 1992
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.