rah-e-wafa mein rahe ye nishan-e-KHatir bas
rah-e-vafā meñ rahe ye nishān-e-ḳhātir bas
baġhair naam ho mazkūr har musāfir bas
hazār vādī-e-tārīk se guzartā huā
ye 'ishq chāhtā hai ho tirā mu’āsir bas
tavīl marhala-e-justujū bhī thā darpesh
so ittifāq nahīñ thā huā vo zāhir bas
phir us ke baa'd sabhī ho gayā idhar kā udhar
vo ek lamha-e-maujūd meñ thā hāzir bas
ye ik jazīra-e-be-rāh bhī nahīñ rahnā
to kyā qarīb hai vo majma'-ul-jazā.ir bas
rah-e-wafa mein rahe ye nishan-e-KHatir bas
baghair nam ho mazkur har musafir bas
hazar wadi-e-tarik se guzarta hua
ye 'ishq chahta hai ho tera mu’asir bas
tawil marhala-e-justuju bhi tha darpesh
so ittifaq nahin tha hua wo zahir bas
phir us ke ba'd sabhi ho gaya idhar ka udhar
wo ek lamha-e-maujud mein tha hazir bas
ye ek jazira-e-be-rah bhi nahin rahna
to kya qarib hai wo majma'-ul-jazair bas
- Book : Kitab Gumrah Kar Rahi Hai (Pg. 39)
- Author : Shahram Sarmadi
- Publication : Rekhta Publications (2018)
- Edition : First
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.