rah-e-wafa se gurez karna subut-e-KHud-agahi nahin hai
rah-e-vafā se gurez karnā subūt-e-ḳhud-āgahī nahīñ hai
maqām-e-dār-o-rasan se haT kar to duur tak zindagī nahīñ hai
yahī dalīl-e-javāz-e-mastī yahī hai buniyād-e-mai-parastī
atā-e-pīr-e-muġhāñ se kamtar mazāq-e-tishna-labī nahīñ hai
na ab vo sar-garmī-e-vafā hai na sho.ala-sāmāñ koī tamannā
junūñ taḌaptā huā nahīñ hai nazar sulagtī huī nahīñ hai
abhī ruḳh-e-kā.enāt par hai siyāhī-e-shab kā raqs-e-paiham
ye sub.h kā āftāb kyā hai jo dāġh-e-sharmindagī nahīñ hai
sahar ke monis haiñ lāla-o-gul nujūm-o-mahtāb shab ke sāthī
ye sab mire rāzdār-e-ġham haiñ yahāñ koī ajnabī nahīñ hai
nazar meñ haiñ aaj tak farozāñ vo ḳhvāb ke marmarīñ jazīre
ki jin kī ḳhāmosh rif'atoñ par koī kiran dhuup kī nahīñ hai
ummīd kā dil se hai ta’alluq na jaane phir bhī ma.aal kyā ho
charāġh tak dastaras hai lekin giraft meñ raushnī nahīñ hai
abhī ubharte hue savere pe zulmat-e-shab kī haiñ nigāheñ
maiñ aise māhaul meñ huuñ 'nāzish' jahāñ hañsī bhī hañsī nahīñ hai
rah-e-wafa se gurez karna subut-e-KHud-agahi nahin hai
maqam-e-dar-o-rasan se haT kar to dur tak zindagi nahin hai
yahi dalil-e-jawaz-e-masti yahi hai buniyaad-e-mai-parasti
ata-e-pir-e-mughan se kamtar mazaq-e-tishna-labi nahin hai
na ab wo sar-garmi-e-wafa hai na shoala-saman koi tamanna
junun taDapta hua nahin hai nazar sulagti hui nahin hai
abhi ruKH-e-kaenat par hai siyahi-e-shab ka raqs-e-paiham
ye subh ka aaftab kya hai jo dagh-e-sharmindagi nahin hai
sahar ke monis hain lala-o-gul nujum-o-mahtab shab ke sathi
ye sab mere raazdar-e-gham hain yahan koi ajnabi nahin hai
nazar mein hain aaj tak farozan wo KHwab ke marmarin jazire
ki jin ki KHamosh rif'aton par koi kiran dhup ki nahin hai
ummid ka dil se hai ta’alluq na jaane phir bhi maal kya ho
charagh tak dastaras hai lekin giraft mein raushni nahin hai
abhi ubharte hue sawere pe zulmat-e-shab ki hain nigahen
main aise mahaul mein hun 'nazish' jahan hansi bhi hansi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.