rah gai thi yahi ek baat batane ke liye
rah ga.ī thī yahī ik baat batāne ke liye
ham to aa.e the yahāñ lauT ke jaane ke liye
shauq ne din vo dikhā.e haiñ ki dil jāntā hai
kah diyā thā kabhī dīdār dikhāne ke liye
ab to itnā bhī nahīñ yaad ki vo sūrat-e-ḳhvāb
yaad rakhne ke liye thī ki bhulāne ke liye
dam-e-ḳhūñ-rez bhī jaatī nahīñ shoḳhī un kī
mujh se hī kahte haiñ talvār uThāne ke liye
roz ik rang ubhartā hai sar-e-saf.ha-e-dard
roz ik naqsh banātā huuñ miTāne ke liye
bahr-e-pur-shor meñ ab ḳhush huuñ ki ik mauj-e-sukūt
aane vaalī hai mujhe paar lagāne ke liye
rah gai thi yahi ek baat batane ke liye
hum to aae the yahan lauT ke jaane ke liye
shauq ne din wo dikhae hain ki dil jaanta hai
kah diya tha kabhi didar dikhane ke liye
ab to itna bhi nahin yaad ki wo surat-e-KHwab
yaad rakhne ke liye thi ki bhulane ke liye
dam-e-KHun-rez bhi jati nahin shoKHi un ki
mujh se hi kahte hain talwar uThane ke liye
roz ek rang ubharta hai sar-e-safha-e-dard
roz ek naqsh banata hun miTane ke liye
bahr-e-pur-shor mein ab KHush hun ki ek mauj-e-sukut
aane wali hai mujhe par lagane ke liye
- Book : غبار حیرانی (Pg. 65)
- Author : احمد محفوظ
- Publication : ایم۔آر پبلی کیشنز (2022)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.