rah gaya duniya mein wo ban kar tamasha umr bhar
rah gaya duniya mein wo ban kar tamasha umr bhar
Sabihuddin Shoaiby
MORE BYSabihuddin Shoaiby
rah gayā duniyā meñ vo ban kar tamāshā umr bhar
jis ne apnī zindagī ko khel samjhā umr bhar
tum amīr-e-shahr ke ghar ko jalā kar dekhnā
ghar meñ ho jā.egā muflis ke ujālā umr bhar
aisā lagtā hai ki ab vo qabr tak jā.egī saath
dil ke ḳhānoñ meñ nihāñ thī jo tamannā umr bhar
qarz merī qaum vo kaise chukā.egī bhalā
suud ḳhud ko bech kar jis kā utaar umr bhar
jāntā huuñ mujh ko Das legā vo mār-e-āstīñ
jis ko apnā ḳhuuñ pilā kar maiñ ne paalā umr bhar
zindagī ne.amat thī jis ko pā ke tum ḳhush the 'sabīh'
ab kaho kyā zindagī se tum ne paayā umr bhar
rah gaya duniya mein wo ban kar tamasha umr bhar
jis ne apni zindagi ko khel samjha umr bhar
tum amir-e-shahr ke ghar ko jala kar dekhna
ghar mein ho jaega muflis ke ujala umr bhar
aisa lagta hai ki ab wo qabr tak jaegi sath
dil ke KHanon mein nihan thi jo tamanna umr bhar
qarz meri qaum wo kaise chukaegi bhala
sud KHud ko bech kar jis ka utar umr bhar
jaanta hun mujh ko Das lega wo mar-e-astin
jis ko apna KHun pila kar main ne pala umr bhar
zindagi neamat thi jis ko pa ke tum KHush the 'sabih'
ab kaho kya zindagi se tum ne paya umr bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.