rah gaya kya samaj muTThi bhar
rah gayā kyā samāj muTThī bhar
log karte haiñ raaj muTThī bhar
luuT le koī izzat-o-ismat
aur de de anaaj muTThī bhar
saltanat chaar samt phailī hai
aur sar pe hai taaj muTThī bhar
phir palaT ke vo daur aa.egā
log leñge ḳhirāj muTThī bhar
kal zamāna milā.egā āvāz
log aa.e haiñ aaj muTThī bhar
fasl aa.ī hai ḳhuub khetoñ meñ
nahīñ ghar meñ anaaj muTThī bhar
barsar-e-eqtidār haiñ 'manzar'
log be-taḳht-o-tāj muTThī bhar
rah gaya kya samaj muTThi bhar
log karte hain raj muTThi bhar
luT le koi izzat-o-ismat
aur de de anaj muTThi bhar
saltanat chaar samt phaili hai
aur sar pe hai taj muTThi bhar
phir palaT ke wo daur aaega
log lenge KHiraj muTThi bhar
kal zamana milaega aawaz
log aae hain aaj muTThi bhar
fasl aai hai KHub kheton mein
nahin ghar mein anaj muTThi bhar
barsar-e-eqtidar hain 'manzar'
log be-taKHt-o-taj muTThi bhar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.