rah jati hai har chiz jahan sae mein Dhal kar
rah jaatī hai har chiiz jahāñ saa.e meñ Dhal kar
vo des bhī ik baar zarā dekhiye chal kar
ham qāfila-e-fikr baḌhā le ga.e aage
aa.ī jo sadā dasht-e-ziyāñ meñ ki amal kar
uftāda-e-rah kī nahīñ suntā koī fariyād
aatā hai jo baḌh jaatā hai pairoñ se kuchal kar
har rauzan-e-dīvār se haiñ ghūrtī āñkheñ
is ḳhauf ke zindāñ se kahāñ jaa.eñ nikal kar
sairāb to hotī haiñ kisī aks se āñkheñ
aatī hai koī mauj tahoñ se to uchhal kar
sad-haif ki zaa.e.a dil-e-insāñ pe ho vo aag
jis aag se kohsār bhī rah jaa.eñ pighal kar
rah jati hai har chiz jahan sae mein Dhal kar
wo des bhi ek bar zara dekhiye chal kar
hum qafila-e-fikr baDha le gae aage
aai jo sada dasht-e-ziyan mein ki amal kar
uftada-e-rah ki nahin sunta koi fariyaad
aata hai jo baDh jata hai pairon se kuchal kar
har rauzan-e-diwar se hain ghurti aankhen
is KHauf ke zindan se kahan jaen nikal kar
sairab to hoti hain kisi aks se aankhen
aati hai koi mauj tahon se to uchhal kar
sad-haif ki zaea dil-e-insan pe ho wo aag
jis aag se kohsar bhi rah jaen pighal kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.