rah kar zamin pe chand ke didar ke liye
rah kar zamīñ pe chāñd ke dīdār ke liye
daftar meñ din guzarte haiñ itvār ke liye
itnā to mas.ala bhī na thā jitnā shor hai
bas bhiiḌ juT ga.ī hai ye be-kār ke liye
be-vaj.h khīñch taan meñ kashtī Dubo ga.e
jab ki sabhī ko jaanā thā us paar ke liye
bas hāl-chāl kā ye dikhāvā na kījiye
rab tak du'ā.eñ bhejiye bīmār ke liye
āñkhoñ ko rab ne is liye bīnā.ī sauñp dī
jis se ho ek ā.īna dīdār ke liye
phir yuuñ huā ki ham ko kabhī vaqt nahīñ milā
jab se ghaḌī ḳharīd lī dīvār ke liye
qisse meñ jang aa.ī to qurbān ho ga.e
pyāde laḌe the āḳhirī kirdār ke liye
rah kar zamin pe chand ke didar ke liye
daftar mein din guzarte hain itwar ke liye
itna to masala bhi na tha jitna shor hai
bas bhiD juT gai hai ye be-kar ke liye
be-wajh khinch tan mein kashti Dubo gae
jab ki sabhi ko jaana tha us par ke liye
bas haal-chaal ka ye dikhawa na kijiye
rab tak du'aen bhejiye bimar ke liye
aankhon ko rab ne is liye binai saunp di
jis se ho ek aaina didar ke liye
phir yun hua ki hum ko kabhi waqt nahin mila
jab se ghaDi KHarid li diwar ke liye
qisse mein jang aai to qurban ho gae
pyaade laDe the aaKHiri kirdar ke liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.