Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-nawardi ka sabaq kaam uske aaKHir aa gaya

Nusrat Chaudhary

rah-nawardi ka sabaq kaam uske aaKHir aa gaya

Nusrat Chaudhary

MORE BYNusrat Chaudhary

    rah-navardī sabaq kaam us ke āḳhir aa gayā

    phir palaT ke dasht meñ TuuTā musāfir aa gayā

    maiñ kuchh apne meñ gum thā varna manzar thā hasīñ

    chāñdnī meñ nāchne ko ek taa.ir aa gayā

    is sulagtī dhuup meñ apnā ḳhayābāñ chhoḌ kar

    dekh le vo zaḳhm khāne terī ḳhātir aa gayā

    saare rishte saañp ban kar Das ga.e 'nusrat' mujhe

    thā fareb-e-chehragī jis meñ vo shā.ir aa gayā

    rah-nawardi ka sabaq kaam us ke aaKHir aa gaya

    phir palaT ke dasht mein TuTa musafir aa gaya

    main hi kuchh apne mein gum tha warna manzar tha hasin

    chandni mein nachne ko ek tair aa gaya

    is sulagti dhup mein apna KHayaban chhoD kar

    dekh le wo zaKHm khane teri KHatir aa gaya

    sare rishte sanp ban kar Das gae 'nusrat' mujhe

    tha fareb-e-chehragi jis mein wo shair aa gaya

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now