rah rah kar jo thak kar baiThe usko chalna kab aata hai
rah rah kar jo thak kar baiThe us ko chalnā kab aatā hai
yaar musalsal chalte rahne se chalne kā Dhab aatā hai
dīvānoñ kī duniyā ke dastūr bahut ulTe hote haiñ
manzil mil jaatī hai pahle tab jā kar maktab aatā hai
is duniyā meñ muflis honā maut se kuchh aage kā dukh hai
us ke bhī bachche bhūke haiñ jis ko yahāñ kartab aatā hai
isī liye to rokā nahīñ hai maiñ ne us ko chale jaane se
mujh ko ye bhī dekhnā hai vo lauT ke āḳhir kab aatā hai
jin logoñ meñ mehnat ke jazbe haiñ vo saare bebas haiñ
aur jo kuchh bhī kar nahīñ paate un logoñ ko sab aatā hai
rah rah kar jo thak kar baiThe us ko chalna kab aata hai
yar musalsal chalte rahne se chalne ka Dhab aata hai
diwanon ki duniya ke dastur bahut ulTe hote hain
manzil mil jati hai pahle tab ja kar maktab aata hai
is duniya mein muflis hona maut se kuchh aage ka dukh hai
us ke bhi bachche bhuke hain jis ko yahan kartab aata hai
isi liye to roka nahin hai main ne us ko chale jaane se
mujh ko ye bhi dekhna hai wo lauT ke aaKHir kab aata hai
jin logon mein mehnat ke jazbe hain wo sare bebas hain
aur jo kuchh bhi kar nahin pate un logon ko sab aata hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.