rah rah ke chheDta hai jo dard-e-jigar mujhe
rah rah ke chheḌtā hai jo dard-e-jigar mujhe
badnām kar na de ye kahīñ chashm-e-tar mujhe
merā kahīñ makāñ na makīñ huuñ kahīñ kā maiñ
phirtī hai terī yaad liye dar-ba-dar mujhe
maiñ aa gayā huuñ 'ishq ke ab us maqām par
miltī nahīñ hai apnī bhī koī ḳhabar mujhe
donoñ haiñ apne apne muqaddar pe surḳh-rū
un ko ḳhushī udhar to milā ġham idhar mujhe
shāḳh-e-chaman pe phir se ho tā'mīr āshiyāñ
de hausla ki phir na ho bijlī kā Dar mujhe
phir uTh rahe haiñ jānib-e-manzil mire qadam
yaad aa rahā hai phir mirā 'azm-e-safar mujhe
'afsar' na hogā shīsh-mahal meñ sukūñ nasīb
mil jaa.e un ke kūche meñ miTTī kā ghar mujhe
rah rah ke chheDta hai jo dard-e-jigar mujhe
badnam kar na de ye kahin chashm-e-tar mujhe
mera kahin makan na makin hun kahin ka main
phirti hai teri yaad liye dar-ba-dar mujhe
main aa gaya hun 'ishq ke ab us maqam par
milti nahin hai apni bhi koi KHabar mujhe
donon hain apne apne muqaddar pe surKH-ru
un ko KHushi udhar to mila gham idhar mujhe
shaKH-e-chaman pe phir se ho ta'mir aashiyan
de hausla ki phir na ho bijli ka Dar mujhe
phir uTh rahe hain jaanib-e-manzil mere qadam
yaad aa raha hai phir mera 'azm-e-safar mujhe
'afsar' na hoga shish-mahal mein sukun nasib
mil jae un ke kuche mein miTTi ka ghar mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.