rah rah ke hoti jati hai duniya tamam-shud
rah rah ke hotī jaatī hai duniyā tamām-shud
hotā nahīñ hai ishq kā qissa tamām-shud
pyāse to apne hoñT bhigo kar chale ga.e
lekin havas se kab huā dariyā tamām-shud
bikhrā ke motī ishq ke har naqsh-e-pā ke saath
us ne kiyā hai dasht-e-tamannā tamām-shud
girtā hai ek pardā añdhere kā ziist par
hotā hai roz ek tamāsha tamām-shud
kuchh bhī nahīñ bachegā jahāñ meñ sivā-e-ishq
majnūñ tamām ho gayā lailā tamām-shud
ġhuncho kī mauj us ke tabassum pe hai ayaañ
kar degī merī āñkhoñ kā sahrā tamām-shud
āñkhoñ meñ le ke phirtī hai nāz-o-adā ke rang
lahrā ke khīñch luuñ to ho sahbā tamām-shud
ik zaḳhm jis meñ tiir bhī paayā gayā na jazb
us par huā hai ilm-e-masīhā tamām-shud
Dūbeñge ek qulzum-e-ḳhūñ hī meñ ham sabhī
hogī har ek hastī-e-ashyā tamām-shud
keh kar gayā ye āshiq bedār arsh se
ham jā rahe haiñ tum karo charchā tamām-shud
uTThegī jab bhī mauj qayāmat kī tab 'nadīm'
ka.aba tamām hogā kalīsā tamām-shud
rah rah ke hoti jati hai duniya tamam-shud
hota nahin hai ishq ka qissa tamam-shud
pyase to apne honT bhigo kar chale gae
lekin hawas se kab hua dariya tamam-shud
bikhra ke moti ishq ke har naqsh-e-pa ke sath
us ne kiya hai dasht-e-tamanna tamam-shud
girta hai ek parda andhere ka zist par
hota hai roz ek tamasha tamam-shud
kuchh bhi nahin bachega jahan mein siwa-e-ishq
majnun tamam ho gaya laila tamam-shud
ghuncho ki mauj us ke tabassum pe hai ayan
kar degi meri aankhon ka sahra tamam-shud
aankhon mein le ke phirti hai naz-o-ada ke rang
lahra ke khinch lun to ho sahba tamam-shud
ek zaKHm jis mein tir bhi paya gaya na jazb
us par hua hai ilm-e-masiha tamam-shud
Dubenge ek qulzum-e-KHun hi mein hum sabhi
hogi har ek hasti-e-ashya tamam-shud
keh kar gaya ye aashiq bedar arsh se
hum ja rahe hain tum karo charcha tamam-shud
uTThegi jab bhi mauj qayamat ki tab 'nadim'
kaba tamam hoga kalisa tamam-shud
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.