rah rah ke mujhe itna satati hai udasi
rah rah ke mujhe itnā satātī hai udāsī
aañsū mirī āñkhoñ se churātī hai udāsī
tum sochte to hoge ki kis ke liye āḳhir
qālīn in ashkoñ kī bichhātī hai udāsī
jab dhuup masarrat kī mujhe lagtī hai chhūne
saa.e meñ mujhe apne chhupātī hai udāsī
har vaqt mujhe rā.egāñ sābit kiyā us ne
aur dekho to sar bhī na jhukātī hai udāsī
har moḌ pe lagtā hai qazā paas hai apne
ik aisā 'ajūba bhī dikhātī hai udāsī
kahtā huuñ udāsī koī mahtāb nahīñ hai
sūraj kī tarah sab ko jalātī hai udāsī
taqdīr varaq māñgtī hai aur phir us pe
ḳhushiyoñ se kahīñ pahle banātī hai udāsī
rah rah ke mujhe itna satati hai udasi
aansu meri aankhon se churaati hai udasi
tum sochte to hoge ki kis ke liye aaKHir
qalin in ashkon ki bichhati hai udasi
jab dhup masarrat ki mujhe lagti hai chhune
sae mein mujhe apne chhupati hai udasi
har waqt mujhe raegan sabit kiya us ne
aur dekho to sar bhi na jhukati hai udasi
har moD pe lagta hai qaza pas hai apne
ek aisa 'ajuba bhi dikhati hai udasi
kahta hun udasi koi mahtab nahin hai
suraj ki tarah sab ko jalati hai udasi
taqdir waraq mangti hai aur phir us pe
KHushiyon se kahin pahle banati hai udasi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.