rah rah ke teri yaad satae to kya karun
rah rah ke terī yaad satā.e to kyā karūñ
terā ḳhayāl dil se na jaa.e to kyā karūñ
vaa.iz agar qusūr hai kar le malāmateñ
āñkhoñ se koī dil meñ samā.e to kyā karūñ
maanā ki hai sharāb kā chhūnā harām par
hāthoñ se apne koī pilā.e to kyā karūñ
kāshāna apne dil kā mujhe bhī aziiz hai
barq-e-nazar se koī jalā.e to kyā karūñ
hai ḳhauf agarche aah meñ ifshā-e-rāz kā
be-sāḳhta nikal hī jo aa.e to kyā karūñ
ye mausam-e-bahār nau-phūloñ kā ye nikhār
ḳhvābīda aarzū ko jagā.e to kyā karūñ
ye to nahīñ 'jalāl' mire bas kā rog hai
dīvāna koī mujh ko banā.e to kyā karūñ
rah rah ke teri yaad satae to kya karun
tera KHayal dil se na jae to kya karun
waiz agar qusur hai kar le malamaten
aankhon se koi dil mein samae to kya karun
mana ki hai sharab ka chhuna haram par
hathon se apne koi pilae to kya karun
kashana apne dil ka mujhe bhi aziz hai
barq-e-nazar se koi jalae to kya karun
hai KHauf agarche aah mein ifsha-e-raaz ka
be-saKHta nikal hi jo aae to kya karun
ye mausam-e-bahaar nau-phulon ka ye nikhaar
KHwabida aarzu ko jagae to kya karun
ye to nahin 'jalal' mere bas ka rog hai
diwana koi mujh ko banae to kya karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.