rah rahe haiñ makīñ shaboñ ke
kyā hue Dher sūrajoñ ke
aañkh meñ ḳhvāb munjamid haiñ
rañg barsāo hausloñ ke
ḳhuun se tai kiye ga.e haiñ
rāste zard mausamoñ ke
maqtaloñ se uThā.e maiñ ne
phuul se jism dostoñ ke
ai zamīñ terī azmatoñ meñ
bah ga.e shahr vāhimoñ ke
rah rahe hain makin shabon ke
kya hue Dher surajon ke
aankh mein KHwab munjamid hain
rang barsao hauslon ke
KHun se tai kiye gae hain
raste zard mausamon ke
maqtalon se uThae main ne
phul se jism doston ke
ai zamin teri azmaton mein
bah gae shahr wahimon ke
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.