Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rah-raw-e-rah-e-mohabbat kaun si manzil mein hai

Bismil Saeedi

rah-raw-e-rah-e-mohabbat kaun si manzil mein hai

Bismil Saeedi

MORE BYBismil Saeedi

    rah-rav-e-rāh-e-mohabbat kaun manzil meñ hai

    dil hai be-zār-e-mohabbat aur mohabbat dil meñ hai

    kyā zabāñ par hai kisī kyā kisī ke dil meñ hai

    jis mahfil hai vahī jaane vo jis mushkil meñ hai

    kārvān-e-husn-o-ishq ab tak kahīñ Thahrā nahīñ

    qais abhī sahrā meñ hai lailā abhī mahmil meñ hai

    ishrat-e-rafta ronā kyā ġham-e-imroz meñ

    aish-e-fardā bhī vo maazī hai jo mustaqbil meñ hai

    rañg-e-mahfil meñ nazar aatā hai ik rañg-e-digar

    terī mahfil ke sivā bhī kuchh tirī mahfil meñ hai

    ham-safar kuchh din rahe lekin ḳhudā jaane ki ab

    ishq hai kis marhale meñ husn kis manzil meñ hai

    manzil-e-maqsūd 'bismil' vo nazar aane lagī

    har nazar manzil pe jaise har qadam manzil meñ hai

    rah-raw-e-rah-e-mohabbat kaun si manzil mein hai

    dil hai be-zar-e-mohabbat aur mohabbat dil mein hai

    kya zaban par hai kisi ki kya kisi ke dil mein hai

    jis ki mahfil hai wahi jaane wo jis mushkil mein hai

    karwan-e-husn-o-ishq ab tak kahin Thahra nahin

    qais abhi sahra mein hai laila abhi mahmil mein hai

    ishrat-e-rafta ka rona kya gham-e-imroz mein

    aish-e-farda bhi wo mazi hai jo mustaqbil mein hai

    rang-e-mahfil mein nazar aata hai ek rang-e-digar

    teri mahfil ke siwa bhi kuchh teri mahfil mein hai

    ham-safar kuchh din rahe lekin KHuda jaane ki ab

    ishq hai kis marhale mein husn kis manzil mein hai

    manzil-e-maqsud 'bismil' wo nazar aane lagi

    har nazar manzil pe jaise har qadam manzil mein hai

    RECITATIONS

    Nomaan Shauque

    Nomaan Shauque,

    Nomaan Shauque

    rah-raw-e-rah-e-mohabbat kaun si manzil mein hai Nomaan Shauque

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now