rah wafa mein koi sahib-e-junun na mila
rah vafā meñ koī sāhib-e-junūñ na milā
diloñ meñ azm to paa.e ragoñ meñ ḳhuuñ na milā
hazār ham se muqaddar ne kī daġhā lekin
hameñ miTā ke muqaddar ko bhī sukūñ na milā
guloñ ke ruḳh pe vahī tāzgī kā aalam hai
na jaane un ko ġham-e-rozgār kyuuñ na milā
kahāñ se laa.e vo ik bul-havas mazāq-e-salīm
jise nazar to milī jazba-e-darūñ na milā
milī thiiñ tark-e-mohabbat ke ba.ad bhī āñkheñ
magar vo kaif vo e.ajāz vo fusūñ na milā
falak-shigāf thā is darja iztirāb-e-amal
ki bandagī meñ farishtoñ ko bhī sukūñ na milā
na jaane kis ke sahāre rukā huā hai falak
hameñ to farsh-e-zamīñ par koī sutūñ na milā
rah wafa mein koi sahib-e-junun na mila
dilon mein azm to pae ragon mein KHun na mila
hazar hum se muqaddar ne ki dagha lekin
hamein miTa ke muqaddar ko bhi sukun na mila
gulon ke ruKH pe wahi tazgi ka aalam hai
na jaane un ko gham-e-rozgar kyun na mila
kahan se lae wo ek bul-hawas mazaq-e-salim
jise nazar to mili jazba-e-darun na mila
mili thin tark-e-mohabbat ke baad bhi aankhen
magar wo kaif wo eajaz wo fusun na mila
falak-shigaf tha is darja iztirab-e-amal
ki bandagi mein farishton ko bhi sukun na mila
na jaane kis ke sahaare ruka hua hai falak
hamein to farsh-e-zamin par koi sutun na mila
- Book : Kulliyat-e-Shakiil Badaayuuni (Pg. 618)
- Author : Shakiil Badaayuuni
- Publication : Farid Book Depot (Pvt.) Ltd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.