raha hai qafila-e-gul ka intizar kise
rahā hai qāfila-e-gul kā intizār kise
ab aa.e bhī to yahāñ pā.egī bahār kise
maiñ ek sāya-e-larzāñ shikasta ḳhvāboñ kā
mire vajūd kā aa.egā e'tibār kise
ḳhud apnī zaat ko is ḳhāk-dāñ meñ gum kar ke
vo DhūñDhne ko chalā hai ufuq ke paar kise
tuyūr-e-ḳhvāb giraft-e-nazar meñ kyā aa.eñ
khulī fazā ke parindoñ pe iḳhtiyār kise
ḳhud apne raaz bhī ḳhud se chhupā ke phirte haiñ log
yahāñ banā.e koī apnā rāz-dār kise
vo kaun thā ki jo dil se guzar gayā chup-chāp
sukūt-e-ġham ne sadā dī thī baar baar kise
hayāt kyā hai ḳhud apnī hī justujū 'maḳhmūr'
ye justujū magar aa.ī hai sāzgār kise
raha hai qafila-e-gul ka intizar kise
ab aae bhi to yahan paegi bahaar kise
main ek saya-e-larzan shikasta KHwabon ka
mere wajud ka aaega e'tibar kise
KHud apni zat ko is KHak-dan mein gum kar ke
wo DhunDhne ko chala hai ufuq ke par kise
tuyur-e-KHwab giraft-e-nazar mein kya aaen
khuli faza ke parindon pe iKHtiyar kise
KHud apne raaz bhi KHud se chhupa ke phirte hain log
yahan banae koi apna raaz-dar kise
wo kaun tha ki jo dil se guzar gaya chup-chap
sukut-e-gham ne sada di thi bar bar kise
hayat kya hai KHud apni hi justuju 'maKHmur'
ye justuju magar aai hai sazgar kise
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.