raha pesh-e-nazar hasrat ka bab awwal se aaKHir tak
rahā pesh-e-nazar hasrat kā baab avval se āḳhir tak
paḌhī kis ne mohabbat kī kitāb avval se āḳhir tak
ishāra tak na likkhā koī us ne rabt-e-bāham kā
bahut be-rabt hai ḳhat kā javāb avval se āḳhir tak
mayassar ḳhaak hotā zindagī meñ lutf-e-tanhā.ī
rahe do do farishte ham-rikāb avval se āḳhir tak
ḳhushī meñ bhī mohabbat dushman-e-sabr-o-sakūñ niklī
rahā dil meñ vahī ik iztirāb avval se āḳhir tak
ġhalat-koshī kī aadat ne asar paidā kiyā aisā
ġhalat niklā gunāhoñ kā hisāb avval se āḳhir tak
mujhe le aa.ī hai umr-e-ravāñ kin ḳhārzāroñ meñ
huā hai chaak dāmān-e-shabāb avval se āḳhir tak
majāl-e-guftugū paa.ī to ab kyuuñ mohr-bar-lab hai
sunā de o dil-e-ġhaflat-ma.āb avval se āḳhir tak
añdhere meñ talāsh-e-dil agar hotī to kyā hotī
shab-e-tārīk thā daur-e-shabāb avval se āḳhir tak
dahān-e-zaḳhm se bhī 'josh' hāl-e-dil sunā dekhā
namak-pāshī hī thā un kā javāb avval se āḳhir tak
raha pesh-e-nazar hasrat ka bab awwal se aaKHir tak
paDhi kis ne mohabbat ki kitab awwal se aaKHir tak
ishaara tak na likkha koi us ne rabt-e-baham ka
bahut be-rabt hai KHat ka jawab awwal se aaKHir tak
mayassar KHak hota zindagi mein lutf-e-tanhai
rahe do do farishte ham-rikab awwal se aaKHir tak
KHushi mein bhi mohabbat dushman-e-sabr-o-sakun nikli
raha dil mein wahi ek iztirab awwal se aaKHir tak
ghalat-koshi ki aadat ne asar paida kiya aisa
ghalat nikla gunahon ka hisab awwal se aaKHir tak
mujhe le aai hai umr-e-rawan kin KHarzaron mein
hua hai chaak daman-e-shabab awwal se aaKHir tak
majal-e-guftugu pai to ab kyun mohr-bar-lab hai
suna de o dil-e-ghaflat-maab awwal se aaKHir tak
andhere mein talash-e-dil agar hoti to kya hoti
shab-e-tarik tha daur-e-shabab awwal se aaKHir tak
dahan-e-zaKHm se bhi 'josh' haal-e-dil suna dekha
namak-pashi hi tha un ka jawab awwal se aaKHir tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.