raha raushan hamesha matla-e-fikr-o-nazar apna
rahā raushan hamesha matl.a-e-fikr-o-nazar apnā
hathelī kā charāġh aur daar kā sūraj hai sar apnā
kareñ vo sang-bārī shauq se hāzir hai sar apnā
magar jī bhar ke pahle dekh leñ shīshe kā ghar apnā
mirā ehsās-e-mahrūmī nahīñ iz.hār-e-māyūsī
abhī kyā hai abhī to dosh par baaqī hai sar apnā
chhupā.ūñ is chaman meñ kis tarah kāñToñ bharā dāman
ki maiñ ne de ke sīñchā thā jise ḳhūn-e-jigar apnā
maiñ vo ā.īna-e-jaur-o-jafā-e-nāz huuñ jis ko
agar dekhe to ḳhud sar piiT le ā.īna-gar apnā
maiñ kis muñh se karūñ ab gardish-e-ayyām kā shikva
talāsh us ko kisī kī thī batā baiThā maiñ ghar apnā
naqāb-e-ruḳh ulaT kar baam par ab tum bhī aa jaao
maiñ phailā.e hue huuñ dāman-e-zauq-e-nazar apnā
koī kaise badal saktā hai fitrat ke taqāzoñ ko
ki hijrat ke havāle se jo yaad aatā hai ghar apnā
jo bīmārī kī sun kar 'zabt' aate haiñ ayādat ko
bharā rahtā hai aksar aise mehmānoñ se ghar apnā
raha raushan hamesha matla-e-fikr-o-nazar apna
hatheli ka charagh aur dar ka suraj hai sar apna
karen wo sang-bari shauq se hazir hai sar apna
magar ji bhar ke pahle dekh len shishe ka ghar apna
mera ehsas-e-mahrumi nahin izhaar-e-mayusi
abhi kya hai abhi to dosh par baqi hai sar apna
chhupaun is chaman mein kis tarah kanTon bhara daman
ki main ne de ke sincha tha jise KHun-e-jigar apna
main wo aaina-e-jaur-o-jafa-e-naz hun jis ko
agar dekhe to KHud sar piT le aaina-gar apna
main kis munh se karun ab gardish-e-ayyam ka shikwa
talash us ko kisi ki thi bata baiTha main ghar apna
naqab-e-ruKH ulaT kar baam par ab tum bhi aa jao
main phailae hue hun daman-e-zauq-e-nazar apna
koi kaise badal sakta hai fitrat ke taqazon ko
ki hijrat ke hawale se jo yaad aata hai ghar apna
jo bimari ki sun kar 'zabt' aate hain ayaadat ko
bhara rahta hai aksar aise mehmanon se ghar apna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.