raha shamil jo mere ratjagon mein kaun tha wo
rahā shāmil jo mere ratjagoñ meñ kaun thā vo
jo thā taskīn-e-jāñ tanhā.iyoñ meñ kaun thā vo
mirī āvāz jaisī aur bhī āvāz thī ik
yaqīnan thā koī to parbatoñ meñ kaun thā vo
jo mere saath pahuñchā manziloñ tak kaun hai ye
jise maiñ chhoḌ aayā rāstoñ meñ kaun thā vo
bahut miltā thā mujh se vaar karne kā tarīqa
jo ik mujh sā thā mere dushmanoñ meñ kaun thā vo
vo terā ġham thā merā aks thā yā vāhima thā
jo mere rū-ba-rū thā ā.inoñ meñ kaun thā vo
kaTe sar ko hathelī par sajā.e ghūmtā thā
mirī bastī kī ḳhvābīda shaboñ meñ kaun thā vo
raha shamil jo mere ratjagon mein kaun tha wo
jo tha taskin-e-jaan tanhaiyon mein kaun tha wo
meri aawaz jaisi aur bhi aawaz thi ek
yaqinan tha koi to parbaton mein kaun tha wo
jo mere sath pahuncha manzilon tak kaun hai ye
jise main chhoD aaya raston mein kaun tha wo
bahut milta tha mujh se war karne ka tariqa
jo ek mujh sa tha mere dushmanon mein kaun tha wo
wo tera gham tha mera aks tha ya wahima tha
jo mere ru-ba-ru tha aainon mein kaun tha wo
kaTe sar ko hatheli par sajae ghumta tha
meri basti ki KHwabida shabon mein kaun tha wo
- Book : Funoon (Monthly) (Pg. 360)
- Author : Ahmad Nadeem Qasmi
- Publication : 4 Maklood Road, Lahore (Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23)
- Edition : Edition Nov. Dec. 1985,Issue No. 23
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.