rahbar-e-jada-e-manzil pe hansi aati hai
rahbar-e-jāda-e-manzil pe hañsī aatī hai
laḌkhaḌāte hue is dil pe hañsī aatī hai
hasrat-e-qurbat-e-manzil pe hañsī aatī hai
ab to dīvāngī-e-dil pe hañsī aatī hai
yaad kar ke tirī sūrat tirī bāteñ aksar
yuuñ taḌaptā hai ki is dil pe hañsī aatī hai
'umr gum kar ke farāham kiyā sāmān-e-hayāt
ab mujhe ziist ke hāsil pe hañsī aatī hai
qulzum-e-ġham meñ to hote haiñ kināre bhī bhañvar
jab ye suntā huuñ to sāhil pe hañsī aatī hai
jagmagātā hai jo sūraj kī shu'ā'oñ ke tufail
is bhikārī mah-e-kāmil pe hañsī aatī hai
'soz' har lamha vahī maslahat-e-vaqt kī baat
sun ke dīvāne ko 'āqil pe hañsī aatī hai
rahbar-e-jada-e-manzil pe hansi aati hai
laDkhaDate hue is dil pe hansi aati hai
hasrat-e-qurbat-e-manzil pe hansi aati hai
ab to diwangi-e-dil pe hansi aati hai
yaad kar ke teri surat teri baaten aksar
yun taDapta hai ki is dil pe hansi aati hai
'umr gum kar ke faraham kiya saman-e-hayat
ab mujhe zist ke hasil pe hansi aati hai
qulzum-e-gham mein to hote hain kinare bhi bhanwar
jab ye sunta hun to sahil pe hansi aati hai
jagmagata hai jo suraj ki shu'a'on ke tufail
is bhikari mah-e-kaamil pe hansi aati hai
'soz' har lamha wahi maslahat-e-waqt ki baat
sun ke diwane ko 'aqil pe hansi aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.