Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam

Akhtar Ansari Akbarabadi

rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam

Akhtar Ansari Akbarabadi

MORE BYAkhtar Ansari Akbarabadi

    rahbar-e-tabl-o-nishāñ aur zarā tez qadam

    haañ mire azm-e-javāñ aur zarā tez qadam

    is añdhere se na ghabrā ki zarā aur aage

    hai charāġhāñ samāñ aur zarā tez qadam

    kahīñ māyūs na honā jo nigāhoñ se abhī

    un mahfil hai nihāñ aur zarā tez qadam

    ye yaqīñ hai ki pahuñch jā.eñge un tak ik din

    chaliye be-vahm-o-gumāñ aur zarā tez qadam

    bujh na jaa.eñ rah-e-hastī meñ tamannā ke charāġh

    ḳhvāja-e-rāh-ravāñ aur zarā tez qadam

    kis bulandī pe ravāñ tum ho zamīñ ke zarro

    haiñ sitāre nigarāñ aur zarā tez qadam

    mil jā.egā kahīñ shahr-e-nigārāñ 'aḳhtar'

    ai parastār-e-butāñ aur zarā tez qadam

    rahbar-e-tabl-o-nishan aur zara tez qadam

    han mere azm-e-jawan aur zara tez qadam

    is andhere se na ghabra ki zara aur aage

    hai charaghan ka saman aur zara tez qadam

    kahin mayus na hona jo nigahon se abhi

    un ki mahfil hai nihan aur zara tez qadam

    ye yaqin hai ki pahunch jaenge un tak ek din

    chaliye be-wahm-o-guman aur zara tez qadam

    bujh na jaen rah-e-hasti mein tamanna ke charagh

    KHwaja-e-rah-rawan aur zara tez qadam

    kis bulandi pe rawan tum ho zamin ke zarro

    hain sitare nigaran aur zara tez qadam

    mil hi jaega kahin shahr-e-nigaran 'aKHtar'

    ai parastar-e-butan aur zara tez qadam

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now