rahbaron mein sar-phire hain aagahi mein kuchh nahin
rahbaroñ meñ sar-phire haiñ āgahī meñ kuchh nahīñ
rāstoñ meñ hādse haiñ zindagī meñ kuchh nahīñ
ai mire monis tujhe apnā kahūñ to kis tarah
qurbatoñ meñ fāsle haiñ dostī meñ kuchh nahīñ
apnī sochoñ ke badal do ab har ik andāz ko
hausloñ meñ valvale haiñ be-hisī meñ kuchh nahīñ
nek-o-bad meñ farq ab kaise yahāñ mahsūs ho
pattharoñ meñ aa.ine haiñ bartarī meñ kuchh nahīñ
tum jo ho hamrāh mere zindagī kī raah meñ
marhaloñ meñ qumqume haiñ tīrgī meñ kuchh nahīñ
pyaar ke rishte ye rāhat toḌ mat denā kabhī
rābtoñ meñ silsile haiñ barhamī meñ kuchh nahīñ
rahbaron mein sar-phire hain aagahi mein kuchh nahin
raston mein hadse hain zindagi mein kuchh nahin
ai mere monis tujhe apna kahun to kis tarah
qurbaton mein fasle hain dosti mein kuchh nahin
apni sochon ke badal do ab har ek andaz ko
hauslon mein walwale hain be-hisi mein kuchh nahin
nek-o-bad mein farq ab kaise yahan mahsus ho
pattharon mein aaine hain bartari mein kuchh nahin
tum jo ho hamrah mere zindagi ki rah mein
marhalon mein qumqume hain tirgi mein kuchh nahin
pyar ke rishte ye rahat toD mat dena kabhi
rabton mein silsile hain barhami mein kuchh nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.