Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa

Mushtaq Naqvi

rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa

Mushtaq Naqvi

MORE BYMushtaq Naqvi

    rahe hai aaj kal kuchh is tarah charḳh-e-kuhan bigḌā

    mare āshiyāñ se jaise ye nazm-e-chaman bigḌā

    kahāñ guzrī hai saarī raat kuchh ham bhī suneñ āḳhir

    ye ruḳh ye chāñdnī chhiTkī ye tār-e-pairahan bigḌā

    baras kar rah ga.iiñ kaliyāñ chaman ke farsh-e-rañgīñ par

    pakaḌ kar shāḳh jab kal shaam vo ġhuncha-dahan bigḌā

    tirī nazroñ tak thā sab salīqa ahl-e-mahfil

    tire uThte jān-e-husn rañg-e-anjuman bigḌā

    kise aatā thā jiinā is se pahle terī duniyā meñ

    sañvārā hai mohabbat ne mazāq-e-rūh-o-tan bigḌā

    gilā thā bevafā.ī hameñ par un se kyā kahiye

    vo kahte haiñ ki hai kuchh in dinoñ terā chalan bigḌā

    rahe hai aaj kal kuchh is tarah charKH-e-kuhan bigDa

    mare hi aashiyan se jaise ye nazm-e-chaman bigDa

    kahan guzri hai sari raat kuchh hum bhi sunen aaKHir

    ye ruKH ye chandni chhiTki ye tar-e-pairahan bigDa

    baras kar rah gain kaliyan chaman ke farsh-e-rangin par

    pakaD kar shaKH jab kal sham wo ghuncha-dahan bigDa

    teri nazron hi tak tha sab saliqa ahl-e-mahfil ka

    tere uThte hi jaan-e-husn rang-e-anjuman bigDa

    kise aata tha jina is se pahle teri duniya mein

    sanwara hai mohabbat ne mazaq-e-ruh-o-tan bigDa

    gila tha bewafai ka hamein par un se kya kahiye

    wo kahte hain ki hai kuchh in dinon tera chalan bigDa

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now