rahe hamesha muKHatib bas apni zat se hum
rahe hamesha muḳhātib bas apnī zaat se ham
rujūa hote bhī kyā husn-e-kā.enāt se ham
ab aa ga.ī hai vo saa.at ki din kī baat kareñ
Darā kareñge kahāñ tak añdherī raat se ham
qadam qadam pe to ham ne hai zehn ko gherā
qadam qadam pe bache go tavahhumāt se ham
ḳhudā ke vāste ab dām-e-āgahī na bichhā
Darā kiye haiñ ḳhirad terī baat baat se ham
na chhūT paa.e haiñ ab tak na chhūT pā.eñge
dil-o-nigāh ke rangīñ muāmlāt se ham
khuleñ to kaise khuleñ rāz-hā-e-aql-o-junūñ
nigāh phere hue haiñ mushāhidāt se ham
hameñ yaqīñ meñ bhī ab shak dikhā.ī detā hai
ghire hue haiñ kuchh aise hī vāqi.āt se ham
zamāna laakh kare koshisheñ bachāne kī
nikal sakeñge na afsūn-e-iltifāt se ham
hameñ Darā.eñ na ahbāb ab havādis se
bane hue haiñ haqīqat meñ hādsāt se ham
zamāna urdu adab ko bhulā na pā.egā
banā rahe haiñ vo tasvīr apne haath se ham
zabāñ tak aa nahīñ paa.ī sadā-e-dil 'qādir'
bañdhe hue haiñ kuchh aise takallufāt se ham
rahe hamesha muKHatib bas apni zat se hum
rujua hote bhi kya husn-e-kaenat se hum
ab aa gai hai wo saat ki din ki baat karen
Dara karenge kahan tak andheri raat se hum
qadam qadam pe to hum ne hai zehn ko ghera
qadam qadam pe bache go tawahhumat se hum
KHuda ke waste ab dam-e-agahi na bichha
Dara kiye hain KHirad teri baat baat se hum
na chhuT pae hain ab tak na chhuT paenge
dil-o-nigah ke rangin muamlat se hum
khulen to kaise khulen raaz-ha-e-aql-o-junun
nigah phere hue hain mushahidat se hum
hamein yaqin mein bhi ab shak dikhai deta hai
ghire hue hain kuchh aise hi waqiat se hum
zamana lakh kare koshishen bachane ki
nikal sakenge na afsun-e-iltifat se hum
hamein Daraen na ahbab ab hawadis se
bane hue hain haqiqat mein hadsat se hum
zamana urdu adab ko bhula na paega
bana rahe hain wo taswir apne hath se hum
zaban tak aa nahin pai sada-e-dil 'qadir'
bandhe hue hain kuchh aise takallufat se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.