rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka
rahe ḳhirām salāmat nadī ke dhāroñ kā
nikal na jaa.e kahīñ dam magar kināroñ kā
thā iztirāb-o-tamannā-e-dīd gul kā karam
bahut kaThin thā safar varna ḳhārzāroñ kā
satā rahī hai dil-e-shab ko kal ke chāñd kī yaad
uḌā uḌā sā hai kuchh aaj rañg tāroñ kā
jo ḳhush hai ek to us kī vafā ke charche haiñ
dukhā.e dil vo jahāñ meñ bhale hazāroñ kā
yahī hai lutf to phir jaur kis ko kahte haiñ
na samjhā koī bhī matlab tire ishāroñ kā
tan-e-barahna ho jaise libās kā muhtāj
huā hai sher bhī marhūn isti'āroñ kā
use to husn kī hurmat kā paas thā itnā
ki kā.enāt mu'ammā hai parda-dāroñ kā
ho ibtilā se jahāñ 'āshiqī kī paimā.ish
to kyā ajab ho vahāñ josh be-qarāroñ kā
rahe KHiram salamat nadi ke dhaaron ka
nikal na jae kahin dam magar kinaron ka
tha iztirab-o-tamanna-e-did gul ka karam
bahut kaThin tha safar warna KHarzaron ka
sata rahi hai dil-e-shab ko kal ke chand ki yaad
uDa uDa sa hai kuchh aaj rang taron ka
jo KHush hai ek to us ki wafa ke charche hain
dukhae dil wo jahan mein bhale hazaron ka
yahi hai lutf to phir jaur kis ko kahte hain
na samjha koi bhi matlab tere ishaaron ka
tan-e-barahna ho jaise libas ka muhtaj
hua hai sher bhi marhun isti'aron ka
use to husn ki hurmat ka pas tha itna
ki kaenat mu'amma hai parda-daron ka
ho ibtila se jahan 'ashiqi ki paimaish
to kya ajab ho wahan josh be-qararon ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.