rahe meri taraf se KHun kyon qatil ki gardan par
rahe merī taraf se ḳhuun kyoñ qātil kī gardan par
vo bismil huuñ ki aane dī na maiñ ne chhīñT dāman par
mohabbat hai burī shai duur kyoñ jaao hameñ dekho
hamīñ ne bārhā sar rakh diyā hai pā-e-dushman par
tumhāre naqsh-e-pā ik hashr kī tamhīd haiñ goyā
qayāmat kī nishānī dekhtā huuñ qabr-e-dushman par
jo honā thā huā ghar jaao is se fā.eda kyā hai
jigar thāme hue baiThe ho kyoñ ab mere madfan par
farishte saath vaale hashr meñ kuchh to sahārā deñ
qadam uThtā nahīñ hai bār-e-isyāñ vo hai gardan par
ḳhudā kī shaan hai vo qatl karne aa.e haiñ mujh ko
jinheñ talvār tak rakhnā nahīñ aatī hai gardan par
dikhā dī had dil-e-bismil ne ādāb-e-mohabbat kī
namāz-e-sub.h mahshar tak paḌhī qātil ke dāman par
abhī to hans rahe haiñ kal ḳhizāñ meñ hashr kyā hogā
hañsī aatī hai mujh ko ḳhanda-e-gul-hā-e-gulshan par
na chhoḌe ḳhaar talvoñ ne na chhoḌī ḳhaak hāthoñ ne
ga.e ham kyā ki Daaka paḌ gayā sahrā ke dāman par
añdherī raat meñ aksar jalātī hai charāġh aakar
taras aatā hai bijlī ko bhī bulbul ke nasheman par
mire qātil ke fariyādī haiñ lākhoñ ḳhair ho yā-rab
koī dhabba na aa.e arsa-e-mahshar ke dāman par
nasheman phūñk kar ai barq bijlī kar diyā dil ko
kabhī taḌpā kabhī loTā kiyā ḳhāk-e-nasheman par
rahe meri taraf se KHun kyon qatil ki gardan par
wo bismil hun ki aane di na main ne chhinT daman par
mohabbat hai buri shai dur kyon jao hamein dekho
hamin ne barha sar rakh diya hai pa-e-dushman par
tumhaare naqsh-e-pa ek hashr ki tamhid hain goya
qayamat ki nishani dekhta hun qabr-e-dushman par
jo hona tha hua ghar jao is se faeda kya hai
jigar thame hue baiThe ho kyon ab mere madfan par
farishte sath wale hashr mein kuchh to sahaara den
qadam uThta nahin hai bar-e-isyan wo hai gardan par
KHuda ki shan hai wo qatl karne aae hain mujh ko
jinhen talwar tak rakhna nahin aati hai gardan par
dikha di had dil-e-bismil ne aadab-e-mohabbat ki
namaz-e-subh mahshar tak paDhi qatil ke daman par
abhi to hans rahe hain kal KHizan mein hashr kya hoga
hansi aati hai mujh ko KHanda-e-gul-ha-e-gulshan par
na chhoDe KHar talwon ne na chhoDi KHak hathon ne
gae hum kya ki Daka paD gaya sahra ke daman par
andheri raat mein aksar jalati hai charagh aakar
taras aata hai bijli ko bhi bulbul ke nasheman par
mere qatil ke fariyaadi hain lakhon KHair ho ya-rab
koi dhabba na aae arsa-e-mahshar ke daman par
nasheman phunk kar ai barq bijli kar diya dil ko
kabhi taDpa kabhi loTa kiya KHak-e-nasheman par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.