rahegi dastan baqi hai jab tak ye jahan baqi
rahegi dastan baqi hai jab tak ye jahan baqi
Rukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
MORE BYRukhsana Nikhat Lari Umm-e-Hani
rahegī dāstāñ baaqī hai jab tak ye jahāñ baaqī
kahīñ baaqī haiñ qissa-go kahīñ haiñ rāz-dāñ baaqī
'abas hai faḳhr ai dil tajraboñ kī āzmā.ish par
abhī fardā ke insānoñ kī ḳhātir haiñ zamāñ baaqī
makīñ kitne haiñ be-dīvār-o-dar ke in zamīnoñ par
nahīñ hai sar pe gar saaya to kyā hai āsmāñ baaqī
ḳhizāñ ne kar diyā barbād terā gulsitāñ to kyā
abhī to us kī rāhoñ par haiñ lākhoñ āshiyāñ baaqī
nahīñ achchhā zabān-e-hāl se āh-o-bukā Tapkeñ
abhī maazī ke lab par hī hai kuchh shor-e-fuġhāñ baaqī
fareb-e-va.ada-e-fardā bahut hī 'ārzī shai hai
raheñge 'umr bhar is dil pe choToñ ke nishāñ baaqī
gila tū kar na apnī ābla-pā.ī kā ro-ro kar
hazāroñ rāste baaqī hazāroñ kārvāñ baaqī
abhī se is tarah 'hānī' na baiTho mutma.in ho kar
abhī to aur bhī dushvār-tar haiñ imtihāñ baaqī
rahegi dastan baqi hai jab tak ye jahan baqi
kahin baqi hain qissa-go kahin hain raaz-dan baqi
'abas hai faKHr ai dil tajrabon ki aazmaish par
abhi farda ke insanon ki KHatir hain zaman baqi
makin kitne hain be-diwar-o-dar ke in zaminon par
nahin hai sar pe gar saya to kya hai aasman baqi
KHizan ne kar diya barbaad tera gulsitan to kya
abhi to us ki rahon par hain lakhon aashiyan baqi
nahin achchha zaban-e-haal se aah-o-buka Tapken
abhi mazi ke lab par hi hai kuchh shor-e-fughan baqi
fareb-e-wada-e-farda bahut hi 'arzi shai hai
rahenge 'umr bhar is dil pe choTon ke nishan baqi
gila tu kar na apni aabla-pai ka ro-ro kar
hazaron raste baqi hazaron karwan baqi
abhi se is tarah 'hani' na baiTho mutmain ho kar
abhi to aur bhi dushwar-tar hain imtihan baqi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.