rahegi kab talak tanha tamanna nim-jaan meri
rahegī kab talak tanhā tamanna nīm-jāñ merī
khulegī rū-ba-rū us ke kisī lamhe zabāñ merī
palaT aatī to kyā ġham thā jhulas kar kho ga.ī shāyad
harīrī ḳhvāhisheñ oḌhe hue āh-o-fuġhāñ merī
ġhalat hai vo kisī tārīk goshe meñ paḌī hogī
fasīl-e-dil se to jhāñkegī sa.ī-e-rā.egāñ merī
shikasta par sulagtā āshiyāna kuchh jhulaste phuul
chaman meñ har taraf bikhrī huī hai dāstāñ merī
rahegi kab talak tanha tamanna nim-jaan meri
khulegi ru-ba-ru us ke kisi lamhe zaban meri
palaT aati to kya gham tha jhulas kar kho gai shayad
hariri KHwahishen oDhe hue aah-o-fughan meri
ghalat hai wo kisi tarik goshe mein paDi hogi
fasil-e-dil se to jhankegi sai-e-raegan meri
shikasta par sulagta aashiyana kuchh jhulaste phul
chaman mein har taraf bikhri hui hai dastan meri
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.