rahegi yaad ye fasl-e-bahaar ham-nafaso
rahegī yaad ye fasl-e-bahār ham-nafaso
kiyā hai raqs sar-e-nok-e-ḳhār ham-nafaso
ye maslahat kā taqāzā ki sar jhukā ke chaleñ
pukārtā hai junūñ sū-e-dār ham-nafaso
baḌhe chalo ki abhī duur hai maqām-e-junūñ
kahāñ ruke ho sar-e-rahguzār ham-nafaso
ye kis ne aag lagā.ī hai aaj paanī meñ
qabā-e-zohd bhī hai taar taar ham-nafaso
rahegi yaad ye fasl-e-bahaar ham-nafaso
kiya hai raqs sar-e-nok-e-KHar ham-nafaso
ye maslahat ka taqaza ki sar jhuka ke chalen
pukarta hai junun su-e-dar ham-nafaso
baDhe chalo ki abhi dur hai maqam-e-junun
kahan ruke ho sar-e-rahguzar ham-nafaso
ye kis ne aag lagai hai aaj pani mein
qaba-e-zohd bhi hai tar tar ham-nafaso
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.