rahguzar-bashon ko sae ki bhi kya hajat nahin
rahguzar-bāshoñ ko saa.e kī bhī kyā hājat nahīñ
pūchhte haiñ ālam-e-nau tere me.amāroñ se ham
kyā ḳhabar thī aa ke manzil par vo hogā chaak chaak
jo bachā laa.e the dāman raah ke ḳhāroñ se ham
jaise saaya bhī gunāhoñ kā nahīñ ham par paḌā
kis qadar dāman-kashīda haiñ gunahgāroñ se ham
dam na leñge jab talak ye sāmne se haT na jaa.eñ
Takkareñ lete raheñge ūñchī dīvāroñ se ham
aap ġham-ḳhvārī kī zahmat mat gavārā kījiye
iltijā karte haiñ ab ye apne ġham-ḳhvāroñ se ham
apnī nādārī se ḳhud apnī nazar meñ haiñ subuk
is qadar mar.ūb haiñ daulat ke ambāroñ se ham
ho rahe haiñ hausle puure mashiyyat ke 'razā'
le rahe haiñ baaj mehr-o-māh se tāroñ se ham
rahguzar-bashon ko sae ki bhi kya hajat nahin
puchhte hain aalam-e-nau tere meamaron se hum
kya KHabar thi aa ke manzil par wo hoga chaak chaak
jo bacha lae the daman rah ke KHaron se hum
jaise saya bhi gunahon ka nahin hum par paDa
kis qadar daman-kashida hain gunahgaron se hum
dam na lenge jab talak ye samne se haT na jaen
Takkaren lete rahenge unchi diwaron se hum
aap gham-KHwari ki zahmat mat gawara kijiye
iltija karte hain ab ye apne gham-KHwaron se hum
apni nadari se KHud apni nazar mein hain subuk
is qadar marub hain daulat ke ambaron se hum
ho rahe hain hausle pure mashiyyat ke 'raza'
le rahe hain baj mehr-o-mah se taron se hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.