rahguzar-e-imkan par yun to kya nahin rakhte
rahguzār-e-imkāñ par yuuñ to kyā nahīñ rakhte
bas tire bichhaḌne kā hausla nahīñ rakhte
jin se kuchh ta'alluq ho un pe jaan dete haiñ
aise vaise logoñ se vāsta nahīñ rakhte
kitnī jān-levā hai un kī bad-nasībī jo
manzileñ to rakhte haiñ rāsta nahīñ rakhte
apnī sard-mehrī par dukh mujhe bhī hai lekin
aap bhī to ġhairoñ se fāsla nahīñ rakhte
un kī dastaras meñ haiñ kā.enāt ke asrār
vo jo apnī kuTiyā meñ ik diyā nahīñ rakhte
kyoñ badaltā rahtā hai rang tere chehre kā
ham tire muqābil to aa.ina nahīñ rakhte
rahguzar-e-imkan par yun to kya nahin rakhte
bas tere bichhaDne ka hausla nahin rakhte
jin se kuchh ta'alluq ho un pe jaan dete hain
aise waise logon se wasta nahin rakhte
kitni jaan-lewa hai un ki bad-nasibi jo
manzilen to rakhte hain rasta nahin rakhte
apni sard-mehri par dukh mujhe bhi hai lekin
aap bhi to ghairon se fasla nahin rakhte
un ki dastaras mein hain kaenat ke asrar
wo jo apni kuTiya mein ek diya nahin rakhte
kyon badalta rahta hai rang tere chehre ka
hum tere muqabil to aaina nahin rakhte
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.