rahguzar shishe ki hai na us ka dar shishe ka hai
rahguzar shīshe kī hai na us kā dar shīshe kā hai
dar-haqīqat apnā hī raḳht-e-safar shīshe kā hai
chaltā phirtā boltā suntā samajhtā hai magar
lagne ko kuchh bhī lage har ik bashar shīshe kā hai
ādam-o-iblīs kā kirdār detā hai sabaq
ḳhair hai faulād kī mānind shar shīshe kā hai
be-sabab Takrāo mat tahzīb ke rasm-o-rivāj
kuchh idhar shīshe kā hai to kuchh udhar shīshe kā hai
vaqt kā patthar to chaknā-chūr kar degā use
ġhaur se dekho zarā zālim kā ghar shīshe kā hai
tujh se pahle TuuT kar bikhre yahāñ kitne 'shafīq'
kyā nahīñ mālūm shohrat kā samar shīshe kā hai
rahguzar shishe ki hai na us ka dar shishe ka hai
dar-haqiqat apna hi raKHt-e-safar shishe ka hai
chalta phirta bolta sunta samajhta hai magar
lagne ko kuchh bhi lage har ek bashar shishe ka hai
aadam-o-iblis ka kirdar deta hai sabaq
KHair hai faulad ki manind shar shishe ka hai
be-sabab Takrao mat tahzib ke rasm-o-riwaj
kuchh idhar shishe ka hai to kuchh udhar shishe ka hai
waqt ka patthar to chakna-chur kar dega use
ghaur se dekho zara zalim ka ghar shishe ka hai
tujh se pahle TuT kar bikhre yahan kitne 'shafiq'
kya nahin malum shohrat ka samar shishe ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.