rahi jo begana-e-mohabbat hayat wo surKH-ru nahin hai
rahī jo begāna-e-mohabbat hayāt vo surḳh-rū nahīñ hai
vo phuul kaisā ki jis meñ shāmil latāfat-e-rang-o-bū nahīñ hai
ye ġhair mumkin hai harf aa.e nizām-e-bāda-kashī pe saaqī
khulā rahegā sharāb-ḳhāna balā se jām-o-subū nahīñ hai
hai merī fitrat niyāz-mandī kamāl terā hai be-niyāzī
mujhe tirī justujū hai lekin tujhe mirī justujū nahīñ hai
ye baat alag hai ki ham nahīñ haiñ sharīk-e-jashn-e-bahār-e-gulshan
vagarna kab is chaman meñ shāmil hamārā rangīñ lahū nahīñ hai
tire ġham-e-jāñ-fazā ke sadqe tirī jafā-e-hasīñ ke qurbāñ
na jaane kyoñ kuchh dinoñ se mujh ko ḳhushī kī ab aarzū nahīñ hai
mirī nigāhoñ se duur rah kar vo mere dil ko jalā rahe haiñ
maiñ kis ko ilzām duuñ batā.ūñ koī mire rū-ba-rū nahīñ hai
ye baat vāzeh jahāñ meñ 'nāsir' ba-qaul-e-mansūr ho ga.ī hai
adā na hogī namāz-e-ulfat agar lahū se vuzū nahīñ hai
rahi jo begana-e-mohabbat hayat wo surKH-ru nahin hai
wo phul kaisa ki jis mein shamil latafat-e-rang-o-bu nahin hai
ye ghair mumkin hai harf aae nizam-e-baada-kashi pe saqi
khula rahega sharab-KHana bala se jam-o-subu nahin hai
hai meri fitrat niyaz-mandi kamal tera hai be-niyazi
mujhe teri justuju hai lekin tujhe meri justuju nahin hai
ye baat alag hai ki hum nahin hain sharik-e-jashn-e-bahaar-e-gulshan
wagarna kab is chaman mein shamil hamara rangin lahu nahin hai
tere gham-e-jaan-faza ke sadqe teri jafa-e-hasin ke qurban
na jaane kyon kuchh dinon se mujh ko KHushi ki ab aarzu nahin hai
meri nigahon se dur rah kar wo mere dil ko jala rahe hain
main kis ko ilzam dun bataun koi mere ru-ba-ru nahin hai
ye baat wazeh jahan mein 'nasir' ba-qaul-e-mansur ho gai hai
ada na hogi namaz-e-ulfat agar lahu se wuzu nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.