rahi meri shayad dua nisf se kam
rahī merī shāyad du'ā nisf se kam
milā mujh ko jo kuchh milā nisf se kam
ye rāh-e-mohabbat hai tauba ki is meñ
maiñ gir kar uThā par uThā nisf se kam
talāsh un kī ab tak rahī hai adhūrī
vo jin ko milā hai ḳhudā nisf se kam
nahīñ kuchh burā kar sakā us kā tūfāñ
bujhī sham' jab thī havā nisf se kam
tire rū-barū le ke aa.ī jo qismat
maiñ lagne lagā bā-ḳhudā nisf se kam
kuchh aise guzārī tire is jahāñ meñ
kahā nisf se kam sunā nisf se kam
mohabbat 'ibādat ḳhumārī shikāyat
'ḳhayāl' aap kī har adā nisf se kam
rahi meri shayad du'a nisf se kam
mila mujh ko jo kuchh mila nisf se kam
ye rah-e-mohabbat hai tauba ki is mein
main gir kar uTha par uTha nisf se kam
talash un ki ab tak rahi hai adhuri
wo jin ko mila hai KHuda nisf se kam
nahin kuchh bura kar saka us ka tufan
bujhi sham' jab thi hawa nisf se kam
tere ru-baru le ke aai jo qismat
main lagne laga ba-KHuda nisf se kam
kuchh aise guzari tere is jahan mein
kaha nisf se kam suna nisf se kam
mohabbat 'ibaadat KHumari shikayat
'KHayal' aap ki har ada nisf se kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.