rahi na puKHtagi aalam mein dur KHami hai
rahī na puḳhtagī aalam meñ duur ḳhāmī hai
hazār haif kamīnoñ kā charḳh haamī hai
na uTh to ghar se agar chāhtā hai huuñ mash.hūr
nagīñ jo baiThā hai gaḌ kar to kaisā naamī hai
huī haiñ fikreñ pareshān 'mīr' yāroñ kī
havās-e-ḳhamsa kare jam.a so 'nizāmī' hai
rahi na puKHtagi aalam mein dur KHami hai
hazar haif kaminon ka charKH hami hai
na uTh to ghar se agar chahta hai hun mashhur
nagin jo baiTha hai gaD kar to kaisa nami hai
hui hain fikren pareshan 'mir' yaron ki
hawas-e-KHamsa kare jama so 'nizami' hai
- Book : MIRIYAAT - Diwan No- 1, Ghazal No- 0580
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.