rahi raat un se mulaqat kam
rahī raat un se mulāqāt kam
mudārāt ḳhāsī huī baat kam
tirī yaad itnā baḌā kaam hai
ki mālūm hote haiñ din raat kam
kahīñ dil bahaltā nahīñ shahr meñ
na bāzār kam haiñ na bāġhāt kam
mohabbat meñ hotī haiñ insān ko
shikasteñ ziyāda futūhāt kam
sambhāle hue hai ye shoba bhī dil
ab āñkhoñ se hotī hai barsāt kam
dimāġhoñ kī parvāz mālūm hai
savālāt vāfir javābāt kam
bahut soñ se achchhā huuñ phir bhī 'shu.ūr'
digar-gūñ nahīñ mere hālāt kam
rahi raat un se mulaqat kam
mudaraat KHasi hui baat kam
teri yaad itna baDa kaam hai
ki malum hote hain din raat kam
kahin dil bahalta nahin shahr mein
na bazar kam hain na baghat kam
mohabbat mein hoti hain insan ko
shikasten ziyaada futuhat kam
sambhaale hue hai ye shoba bhi dil
ab aankhon se hoti hai barsat kam
dimaghon ki parwaz malum hai
sawalat wafir jawabaat kam
bahut son se achchha hun phir bhi 'shuur'
digar-gun nahin mere haalat kam
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.