rahi unki chin-e-jabin der tak
rahī un kī chīn-e-jabīñ der tak
chaḌhāyā kiye āstīñ der tak
uḌātī rahī ḳhāksāroñ kī ḳhaak
tumhārī galī kī zamīñ der tak
kisī ke jo aane kī ummīd thī
rahī lab pe jān-e-hazīñ der tak
rahī dekh kar naqsha-e-kū-e-yār
tahayyur meñ ḳhuld-e-barīñ der tak
vo nairañgiyāñ mere rone meñ thiiñ
ki hañste rahe sab hasīñ der tak
rahi un ki chin-e-jabin der tak
chaDhaya kiye aastin der tak
uDati rahi KHaksaron ki KHak
tumhaari gali ki zamin der tak
kisi ke jo aane ki ummid thi
rahi lab pe jaan-e-hazin der tak
rahi dekh kar naqsha-e-ku-e-yar
tahayyur mein KHuld-e-barin der tak
wo nairangiyan mere rone mein thin
ki hanste rahe sab hasin der tak
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.