rahin-e-dast-e-azar ho gaya hun
rahīn-e-dast-e-āzar ho gayā huuñ
maiñ ā.īna thā patthar ho gayā huuñ
mirā to kaam qatre se bhī chaltā
tirī ḳhātir samundar ho gayā huuñ
jo bātin hai vahī zāhir hai merā
kuchh aisā saaf manzar ho gayā huuñ
ka.ī jahtoñ se hai yalġhār mujh par
tan-e-tanhā maiñ lashkar ho gayā huuñ
chale haiñ saath hī ghar ke masā.il
kabhī jab ghar se bāhar ho gayā huuñ
rahā hai naaz jin ko apne qad par
khaḌā un ke barābar ho gayā huuñ
mujhe taslīm hai ye 'shān' sāhib
suḳhan-sāzī kā daftar ho gayā huuñ
rahin-e-dast-e-azar ho gaya hun
main aaina tha patthar ho gaya hun
mera to kaam qatre se bhi chalta
teri KHatir samundar ho gaya hun
jo baatin hai wahi zahir hai mera
kuchh aisa saf manzar ho gaya hun
kai jahton se hai yalghaar mujh par
tan-e-tanha main lashkar ho gaya hun
chale hain sath hi ghar ke masail
kabhi jab ghar se bahar ho gaya hun
raha hai naz jin ko apne qad par
khaDa un ke barabar ho gaya hun
mujhe taslim hai ye 'shan' sahib
suKHan-sazi ka daftar ho gaya hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.