rahin-e-hasrat-o-hirman-o-yas baiThe hain
rahīn-e-hasrat-o-hirmān-o-yās baiThe haiñ
vo shādmāñ haiñ magar ham udaas baiThe haiñ
kareñ to kaise yaqīñ ham kareñ vafā pe tirī
raqīb ab bhī tire ās-pās baiThe haiñ
vo ek tū ki ḳhud apnī ḳhatā pe ruuTh gayā
par ek ham ki sarāpā sipās baiThe haiñ
kisī kā jaam rahe haiñ kisī kā mai-ḳhāna
ham ek umr se ḳhud ban ke pyaas baiThe haiñ
tumhāre zikr pe jī bhar ke ro.e chillā.e
kuchh aise dil kī nikāle bhaḌās baiThe haiñ
rahin-e-hasrat-o-hirman-o-yas baiThe hain
wo shadman hain magar hum udas baiThe hain
karen to kaise yaqin hum karen wafa pe teri
raqib ab bhi tere aas-pas baiThe hain
wo ek tu ki KHud apni KHata pe ruTh gaya
par ek hum ki sarapa sipas baiThe hain
kisi ka jam rahe hain kisi ka mai-KHana
hum ek umr se KHud ban ke pyas baiThe hain
tumhaare zikr pe ji bhar ke roe chillae
kuchh aise dil ki nikale bhaDas baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.