rahin-e-KHwab hun aur KHwab ke makan mein hun
rahīn-e-ḳhvāb huuñ aur ḳhvāb ke makāñ meñ huuñ
jahān mujh se sivā hai maiñ jis jahāñ meñ huuñ
ajab tarah kā ḳhirad-ḳhez hai junūñ merā
mujhe ḳhabar hai maiñ kis kār-e-rā.egāñ meñ huuñ
tū mujh ko pheñk chukā kab kā apne dushman par
maiñ ab kamāñ meñ nahīñ huuñ tire gumāñ meñ huuñ
mirī thakan bhī tirī hijratoñ meñ shāmil hai
maiñ gard gard sahī tere kārvāñ meñ huuñ
ulajh paḌā thā maiñ ik roz apne saa.e se
aur us ke ba.ad akelā hī dāstāñ meñ huuñ
rahin-e-KHwab hun aur KHwab ke makan mein hun
jahan mujh se siwa hai main jis jahan mein hun
ajab tarah ka KHirad-KHez hai junun mera
mujhe KHabar hai main kis kar-e-raegan mein hun
tu mujh ko phenk chuka kab ka apne dushman par
main ab kaman mein nahin hun tere guman mein hun
meri thakan bhi teri hijraton mein shamil hai
main gard gard sahi tere karwan mein hun
ulajh paDa tha main ek roz apne sae se
aur us ke baad akela hi dastan mein hun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.