rahin-e-wardat-e-dil hai nayyar shaeri apni
rahin-e-wardat-e-dil hai nayyar shaeri apni
Mustafa Husain Nayyar
MORE BYMustafa Husain Nayyar
rahīn-e-vārdāt-e-dil hai nayyar shā.erī apnī
murattab kar rahā huuñ maiñ ġhazal meñ zindagī apnī
jhukī hai pā-e-jānāñ par jabīn-e-āshiqī apnī
matā-e-dīn-o-īmāñ ban ga.ī hai kāfirī apnī
na ab vo ahd-e-rangīñ hai na ab vo zindagī apnī
laboñ tak aate aate lauT jaatī hai hañsī apnī
baḌī azmat kī hāmil hai sharāb-e-āshiqī apnī
mai-o-mīnā pe chhā.ī jaatī hai pākīzgī apnī
nigāh-e-yār kā tarz-e-taḳhātub aah kyā kahiye
ḳhabar hone na paa.ī aur duniyā luT ga.ī apnī
yahī masrūr nazreñ jin meñ duniyā-e-masarrat hai
inhīñ masrūr nazroñ ne masarrat luuT lī apnī
udhar hai kufr nāzāñ is taraf īmān nāzāñ hai
ye kis ke āstāñ par hai jabīn-e-bandagī apnī
zarā tū bhī to dekhe dil pe kyā aalam guzartā hai
atā kar de mirī nazroñ ko ik din barhamī apnī
rahin-e-wardat-e-dil hai nayyar shaeri apni
murattab kar raha hun main ghazal mein zindagi apni
jhuki hai pa-e-jaanan par jabin-e-ashiqi apni
mata-e-din-o-iman ban gai hai kafiri apni
na ab wo ahd-e-rangin hai na ab wo zindagi apni
labon tak aate aate lauT jati hai hansi apni
baDi azmat ki hamil hai sharab-e-ashiqi apni
mai-o-mina pe chhai jati hai pakizgi apni
nigah-e-yar ka tarz-e-taKHatub aah kya kahiye
KHabar hone na pai aur duniya luT gai apni
yahi masrur nazren jin mein duniya-e-masarrat hai
inhin masrur nazron ne masarrat luT li apni
udhar hai kufr nazan is taraf iman nazan hai
ye kis ke aastan par hai jabin-e-bandagi apni
zara tu bhi to dekhe dil pe kya aalam guzarta hai
ata kar de meri nazron ko ek din barhami apni
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.