rahm kar zalim mera haal-e-pareshan dekh kar
rahm kar zālim mirā hāl-e-pareshāñ dekh kar
kaun hañstā hai kisī ko ġham meñ giryāñ dekh kar
dāstāñ aao maiñ dardoñ kī sunā.ūñ aap ko
baad mere kyā karoge merā dīvāñ dekh kar
dekhiye aa.e na aa.e naaz hūroñ kā pasand
maiñ chalā huuñ ġhaur se andāz-e-ḳhūbāñ dekh kar
aap ko karte hue barbād kyoñ aaya na rahm
āfateñ rotī haiñ mere ghar ko vīrāñ dekh kar
adl ko 'nāyāb' rakh har kaam meñ madd-e-nazar
haq ne do āñkheñ tujhe baḳhshī haiñ mīzāñ dekh kar
rahm kar zalim mera haal-e-pareshan dekh kar
kaun hansta hai kisi ko gham mein giryan dekh kar
dastan aao main dardon ki sunaun aap ko
baad mere kya karoge mera diwan dekh kar
dekhiye aae na aae naz huron ka pasand
main chala hun ghaur se andaz-e-KHuban dekh kar
aap ko karte hue barbaad kyon aaya na rahm
aafaten roti hain mere ghar ko viran dekh kar
adl ko 'nayab' rakh har kaam mein madd-e-nazar
haq ne do aankhen tujhe baKHshi hain mizan dekh kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.